aaj kal is dil mein kuch aisa chalta hai,
dil dhak dhak karne se b darta hai,
kuch to hona chaiye is dil ko behlane k liye,
warna pahunch jayegi yeh zindagi ek maikhane mein,
kaash kuch ho jaye aisa jis se mit jaye is mann ki pyaas,
warna yeh zindagi karwati rahegi ek beizaati ka ehsaas,
na main chahun pyaar aur na hi parivaar,
mujhe to bas hai apne aap ko jan ne ka intezaar,
yeh waqt b dheere dheere guzar jayega,
bas apne aap se kiya hua wada yaad reh jayega,
yehi wada mujhe hamesha jeene ka ehsaas karwayega,
aur dil ka dhadakna fir se ek madhur dhun ban jayega...
-001.jpg)
na g only time pass:-)
ReplyDeletemai bhi kuch Aarz karta hu...
ReplyDeleteyeh mausam hai pyaar ka
ise guzar zane de
do dilon ke ikrar ka
apni tabiyat sudhar jane de
fir bhi tanhayia rulati tujhe har pal
toh meri maan, aaj se hi Join kar BAJRANG DAL
From
Forever Alone friend
gonda a kar to by default hi bajrang dal ki membership mil jati hai..:-D
ReplyDelete